Best Love Shayari

Welcome to shayaripicture.com -Your one stop resource for all types of Shayaris in Hindi. This is not just another Shayari site but I’m myself a Shayar and want to spread the love for Shayaris all around. I write with the pen name: DK. Enjoy my original shayari as well as a lot more shayari of different categories.

Arz Kiya hai…
Yun hi koi shayar nahi banta hai
Jab dard ka tazurba ho dil ko
Tab sher khud-ba-khud nikalta hai
-By DK

Shayari on love

Mujhe Phookne se pahle
Mera dil nikaal lena
Ye kisi ki hai Amaanat
Mere sang jal na jaaye

 

Arz kiya hai…
Kuch to mere tumhare beech abhi baaki hai
Na ab wo samay raha na wo rishta
Par un lamhon ki yaad abhi baaki hai
Kuch to mere tumhare beech abhi baaki hai
Ab nazron se door ho chuke hain hum
Phir bhi wo ahsaas abhi baaki hai
Bhula diya zaroor sab kuch
Phir bhi na jaane kyun ek aas abhi baaki hai
Kuch to mere tumhare beech abhi baaki hai…
-By DK

Arz kiya hai….
Jo samajh na saka mere dil ke dard ko
Uske dil mein pyar ki kasak kya hogi
Jise dikhi nahi meri num aankhein
Uski aankhon se barsaatein kya hogi
-By DK

Arz Kiya hai…
Mujhe nahi pata kya mazboori hai teri
Ya phir dilon se khelne ki aadat hai teri
Par ek zammanein baad aaj dil phir se dukha hai
Wohi purana dard phir se ubhra hai
phir bhi tere liye yehi dua hai meri
Salamat rahe tu jahan bhi khushi hai teri
-By DK

Arz kiya hai…
Sharifon ki is mehfil mein
Naam waale to bahut hain
hum to teri galiyon mein
tere husn-e-jhalak paane ko
Awara bhatakte bhanwar hain
hame ye kaam to kar lene do
hame badnaam hi rahne do
-By DK

Arz Kiya hai…
Waqt hai ki beet-ta hi nahi
Kyunki yaadon ki gulshan mein Tum ho
Aur ye Jaan bhi kambakht nikalti nahi
Kyunki har ek saans mein Tum ho
-By DK

 

Arz Kiya hai…
Yun dekhti hain aap mujhe
jaise ishq gawara hai
Mujhe to aapki aankhon ne nahi
Nigahon ne maara hai
-By DK

 

Arz Kiya hai…
Khamoshi tumhari Qaatil si hai
Alfaaz tumhare hain zindagi
Yun chup na raho kuch to kaho
Intezaar mein hain har lamha har ghadi
-By DK

 

Arz Kiya hai…
Ragon mein daudta phirta hai
Ye paani nahi khoon hai
waqt ke saath badal nahi sakta
Aisa Ishq ka Junoon hai
-By DK

Arz Kiya hai…
Soch raha hun
Ab ek kitaab likh daalun
Haal e dil Bayaan kar daalun
Ruswa na ho jaayein wo is mehfil mein
Warna aaj main unhe apni jaan kah daalun
-By DK

Arz Kiya hai…
E khuda ab to thodi rahmat de de
Ya to chheen le saansein
Is zillat bhari zindagi se
Ya phir wo purani zindagi de de
-By DK

Arz Kiya hai…
Dosti ki umang ho
Ya ho ishq ki baazi
Desh ke fauji ka jazba
Har ek pe bhaari
-By DK


Arz Kiya hai…
Sapna nahi haqeekat hai wo
Adhoore ishq ki poori kissa hai wo
Dekh ke jise zindagi bhi zinda ho jaaye
Aisi qaatil haseena hai wo
-By DK

Arz Kiya hai…
Chingari jo lagi hai is dil mein
Na jaane baat kidhar jaayegi
Mat chhed ise e dost
Warna aaj aag lag jayegi
-By DK

Arz kiya hai...
Kareeb aate hain wo
to dil dhadak sa jaata hai
kahna tha bahut kuch
par lab see sa jaata hai
Duniya bahut dekh li tumne
ab ek nazar idhar to dekh
teri nazar mein hai kuch aisa asar
Ke toofaan bhi ishq nazar aata hai
-By DK

Arz kiya hai…
Baarish ki in boondon mein
Ahsaas kuch tum sa hai
Par ishq ke is mausam mein
Tum “tum” nahi main “main” nahi
Mauhol kuch “hum” sa hai
-By DK